Best Phone Under 15000 of 2020
Ye range pehele se zyada competitive aur behtarho gai hai. Iss saal hume iss range me punch-hole screensse le kar quad camerajaise premium phones ke feature budget range me aate hue dikhe.Yephones pehle se zyada powerful aur behtar designed hai. Isme se sabse best phones ke display, buildquality, processor, user experience aur price ko compare karke aapke lie ye list taiyarkari hai. Iss list me humne kai categories ke lie bestphones rakhe hai jaisi ki best camera phone, best gaming phone, best build quality,
aurbest all rounder phone. Hum aapko har phone ke pros aur cons achchebatane jaa rahe hai, to iss video ko dhyaan se dekhe. Agar aap kisi bhi phone ko purchase karnachahe to description me di gai links par click kar sakte hai joki aapko seedhe phone pe milrahi best deals par le jaengi. To chalie Top 5 phones ki list shuru karijae. Hamari list ka pehla phone Google ke androidone program ka hissa hai, ye pure stock android experience aur dher sare google features kesath aata hai. Number 5 par hai, Nokia 7.2. Nokia 7.2 HMD ke budget range phones ka hissahai,
aur ye nokia ke pichle phone 7.1 ka upgrade hai. Ye phone shandar design aur build qualityke sath aata hai aur isme latest security features bhi sabse pehle release hote hai. Nokia 7.2 me android one ka support hone kivajah se ye pure android 9 Pie ke sath aata haiaur iske lie sare latest security updates available hai. Phone sirf essential apps ke sath hi aatahai aur isme koi unnecessary apps preinstalled nahi hai, jiski vajah se ye bohot hi cleanaur clutterfree lagta hai. Aur aapko kabhi bhi apni apps ya notificationsme ads dekhne ko nahi milenge.
7.2 me triple rear camera setup dia gaya hai,iske teeno cameras me carl zeiss lens ka istemal kia gaya hai. iska main camera 48MP ka haijiska aperture f/1.8 hai, ye kafi decent shots leta hai aur iska color reporduction bohotachcah hai. Iske alava phone me 8MP ka ultrawide camerahai jiska aperture f/2.2 hai, ye camera aapko aur wide shots lene me madad karega jiskimadad se aap frame me aur chezien include kar paenge. Sath hi phone me 5MP ka depth sensing camerabhi dia gaya hai jo ki portrait shots me bokeh effects aur edge detection ko behtar bananeke lie use hota hai. Phone ka portrait mode kafi achcha hai,
iskaedge detection decent hai aur ye aapki photos me different bokeh effects bhi edit karnedeta hai. Camera app me HDR me photos lena ka optionbhi dia gaya hai aur isme nokia ka picture-in-picture mode bhi included hai jo aapko phone ke frontaur back camera se sath me videos aur photos banane deta hai. Phone 4k quality tak video shoot kar saktahai.
7.2 me Electronic Image Stabalization ka support bhi hai magar ye sirf 1080p videopar hi work karta hai, videos banate samay EIS aapke motions ko detect karta hai aurfootage me shakes ko kam karta hai. Phone ke dono cameras se videos banae jaasakte hai. Phone ke water drop notch me iska front cameradia gaya hai, iss camera me bhi carl ziess lens ka use kara gaya hai, ye camera 20MPka hai jiska aperture f/2.0 hai, phone ka front camera kafi wide angle shots leta haiaur iski quality kafi achchi hai, front camera me bhi beauty aur portrait modes ka supportdia gaya hai. Nokia 7.2 me 6.3 inch ki IPS LCD screen digai hai jiski resolution 1080×2280 hai, jisse iski pixel density 400ppi ki ho jati hai. Phone ka display HDR 10 compatible hai aurHDR content streaming support karta hai. Screen ke viewing angles bohot achche haiaur iske notch ka size bhi kafi chota hai aur ye zyada distracting nahi lagta hai. Iss display ki peak brightness 500 nitts takjati hai aur ye sunlight me bhi kafi usable rehti hai. Phone ke sath aapko 1 year ki google one storagefree milti hai, google one google ki cloud storage service hai jisme aapko Phone ke sath aapko google ki cloud storageservice Google one 3 mahine ke lie free milti hai,
Best Top 5 Budget Smartphones
iss service par aap 100 GB tak ka datasave kar sakte hai. Iss service par aap apne videos, photos, personaldocuments ya aur koi bhi files securely save kar sakte ho. Magar inn 3 months ke kahatam hone ke baadaapko google one ke lie monthly ya yearly payment karni hogi. Nokia 7.2 ka design bohot hi intresting hai,iska back par frosted gorilla glass 3 ka use kia gaya hai, jo ki phone ko bohot hi premiumaur unique look deta hai, aur bohot sturdy bhi banata hai. Phone ke display par bhi Gorilla glass 3 kause kia gaya hai, yaha aapko phone ke call speaker ke sath iska front camera dekhne komil jaega jo ki water drop notch me dia gaya hai,
Phone ki chin ki vajah se 7.2 ka screento body ratio sirf 82.4% hi hai. Phone ke sides par polycarbonate frame kause kia gaya hai. Iske power button par notification LED bhidi gai hai jiska inclusion hume kafi achcha laga. Nokia 7.2 me Google assistant ka support bhikafi achcha hai aur phone me dedicated google assistant button bhi hai, iss button ka functionaap change to nahi kar sakte magar isse settings me se off kara jaa sakta hia. Overall phone ki build quality bohot hi shandarhai, phone bohot hi high quality material se banaya gaya hai aur iske design aur materialme koi compromise nahi kara gaya hai. Phone use karne me generally bohot hi comfortablelagta hai Magar 7.2 ke triple camera setup ki vajah se iska camera bump kafi zyada hai,phone ko flat surface par rakh kar chalane par phone bohot move karta hai aur iske cameralens par scratches aane ka khatra rehta hai. Phone ka fingerprint scanner kafi slow hai
,ye easy to setup hai aur fingerprints ko easily recognize kar leta hai magar phone ko unlockkarne me kafi time lagata hai. Sath hi iska face unlcock bhi zyada fast nahihai. Phone me dual sim slot die gae hai aur sathhi isme dedicated SD card ka support bhi hai. 7.2 me 3500 mAh ki battery di gai hai jokiiss price segment ke dusre phones ke mukable thodi kam lag sakti hai magar 7.2 ke pureandroid hone ki vajah ye bohot battery efficient hai aur islie ye aapko kafi lamba screen ontime de sakti hai. Phone ke sath sirf 10W ka fast charger includedhone ke baad bhi iski charging speed kaif tez hai. Nokia 7.2 me Qualcomm Snapdragon 660 ka usekia gaya hai joki ek 14nm octacore processor hai jiske 4 cores 2.2Ghz par clocked hai aur4 cores 1.8Ghz par clocked hai. Isme graphics ke lie Adreno 512 ka use kiagaya hai. 660 ab thoda outdated processor ho gaya hai magar optimized software aur achcheRAM management ki vajah se phone chalane me bohot smooth lagta hai aur day to day useme koi problems nahi deta hai.
Lekin heavy gaming me ye aapko thoda disappointinglag sakta hai. Phone me PUBG ki graphics settings HD takjati hai aur frame rate HIGH tak jata hai. Phone par zyadatar casual games easily chaljate hai aur ye heavy games bhi handle to kar sakta hai magar ye shayad aapko best experiencena de. Nokia 7.2 two color options ke sath aata haiCHARCOAL CYAN GREEN NOKIA 7.2 ko aap online ye fir aapni nazdikikoi bhi phone stores se khareed sakte hain. Yeh phone 2 variant Mai aata hai iska 4gb/64gbwale variant ki price 14999 hai or iske 6gb 64gb wale variant ki price 15999 hai Agar aap bloat free pure android experiencepasand karte hai aur apne phone ke lie hamesha latest updates chahte hai to ye phone aapkelie best hai. Iska design stylish hone ke sath sath bohothi durable bhi hai aur ye phone aapka kafi lambe samay tak sath dega. Hamari list ka agla phone samsung ke sabsepopular phone ke upar ek bada upgrade hai.
Ye hamari list ki sabse badi battery aur sabseachche display ke sath aata hai. Number 4 par hai Samsung Galaxy M30s. Samsung ki M series kafi popular rahi haiaur iss series ke phone hamari har best phone ki list me rahe hai. M30s ke sath Samsung ne M series ke sabsepopular phone ko aur behtar bana dia hai. M30s iss price segment ki sabse badi batteryke sath aata hai. Samsung ne iss phone me 6000 mAh ki batterydi hai, sath hi iss battery ko easily charge karne ke lie M30s me fast charging ka supportbhi dia gaya hai, aur phone ke sath 15W type-c fast charger included aata hai. Ek full charge me M30s aapko easily 2 daybattery life de sakta hai.
Aur lagatar heavy gaming karne par bhi fullday battery deta hai. Itni badi battery hone ke baad bhi phone bohothi light hai, iska weight sirf 188g aur iski thickness bhi sirf 8.9 mm hai, jo ki bohothi impressive hai. Samsung ke phones sabse best mobile screenske sath aate hai, aur ye phone bhi alag nahi hai. Isme 6.4 inch ki Super AMOLED screen di gaihai jiska resolution 1080×2340 hai jo ki aapko 403 ppi ki density deta hai, M30s ka screento body ratio 91% hai. Hamesha ki tarha screen ka color reproductionbehetreen hai aur viewing angles bhi bohot achche hai, sunlight me bhi screen kafi brightrehti hai, iski peak brightness 420 nits hai aur iske viewing angles bhi shandar hai. Magar samsung ne phone ke protection ke liekoi special glass use nahi kara hai islie M30s ko scratches aane aur tootne ka zyadakhatra hai. M30s samsung ke nae OS one UI ke sath aatahai jo ki android 9 pie par based hai.
Samsung ki OneUI bohot impressive hai, yepure android ke bohot close hai aur isliya bohot hi fast aur resposive bhi hai, UI kadesign bohot hi sleek aur clean hai aur ye use karne me bhi bohot easy hai. iska CPU usage bohot low hai jisse batterylife aur gaming experience aur zyada improve ho jata hai. One UI ki vajah se iss range ke dusre sabhiphones ke mukable ye phone use karne me sabse zyada smooth aur resposive lagta hai.
Hume umeed hai ki iss phone ke lie One UI2 ka update bhi samsung jald hi launch karegi. Ye update android 10 par based hai aur samsungM30 me pehele hi aa chuka hai iss update me nae features ke sath sath latest securityaur bug fixes bhi milenge. Phone triple camera setup ke sath aata haiiska main camera 48 MP ka hai jo ki aapko har situation me high quality photos dega,iske sath phone me 123 degree ka 8MP ultra wide camera bh hai jo normal lighting conditionme decent shots leta hai aur aapko unique shots lene me madad karta hai.magar low lightme ye camera bohto suffer karta hai, phone ka night mode bhi zyada impressive nahi hai.
Sath hi Portraits lene ke lie dedicated 5MPdepth sensing camera dia gaya hai jo ki aapko high quality bokeh effects dega.Camera modesko switch karne ke lie app ki UI kafi achchi hai aur aapko shots ke beech ka differenceachchce se dikhati hai. Samsung M30s me 16 MP ka wide front camerahai jiska aperture f/2.0 hai, camera app me special selfie, focus mode hai jo aapki selfiesme behtar background blur dega, Phone me dual-sim slot ke sath dedicated microSDcard slot dia gaya hai jo ki 1TB tak ki storage support karta hai. Phone ki internal storage ke lie UFS 2.1 kause kara gaya hai jo aapko bohot hi high data transfer speeddega. M30s Samsung ke Exynos 9611 processor ke sathaata hai, ye ek 10nm octacore processor hai, jiske 4 core 2.3 Ghz par clocked hai aur 4core 1.7 Ghz par cloked hai. Isme graphics ke lie Mali-G72 MP3 ka use kiagaya hai.
Ye processor kafi powerful to hai hi sathhi aapko bohot achchi battery life bhi dega. Phone ki gaming performance okay hai, ismepubg HDR graphics quality tak jata hai aur Ultra frame rate ka support bhi hai, phonepar games bohot hi stable run hote hai aur samsung ne one UI me game booster bhi diahai jo aapke games ko stable rakhega aur backgroud apps ka cpu use low karke lag prevent karega. Phone ki design kafi outdated hai, iska backlow quality polycarbonate material se banaya gaya hai, aur ispar easily scratches aa saktehai, sath hi iske camera ka cutout bhi bohot distracting hai aur phone ka design aur bigaddeta hai.
Iss price range ke dusre phones zyada highquality materials use kar rahe hai, aur kuch phones glass back ke sath bhi aate hai, jinmese ek phone hamari list me bhi hai. Phone me indispay fingerprint reader nahihai magar iske back par dia gaya reader kafi fast auracurate hai. Samsung M30s 3 color options ke sath aatahai, Opal black, saphire blue aur Pearl white. M30s exclusively amazon par available hai,iske 4gb ram aur 64gb rom ki price 12,990 hai aur 6gb ram 128gb rom ki price 14,990hai, Overall Samsung M30s, M30 ke upar ek bohothi achcha upgrade hai, samsung ne M30s ko aur behtar bana kar usko similar price merelease karke bohot hi competitive phone release kia hai. Hamari list ka agla phone apne punch holedisplay aur gaming performance ke lie jana jata hai. Number 3 par hai Vivo Z1 Pro.
Vivo Z1 pro budget range me puch hole displaylane vala pehla phone hai. Aur abhi tak iss price range me koi dusraphone punch hole display nahi laa paya hai.joki iss phone ko bohot hi unique bana deta hai,iss phone ke sath vivo ne apni online only Z series ki dhamakedar shuruaat kari. Z1 pro ke launch ke itne time baad bhi dusrephones abhi tak iss range pe punch hole displays nahi laa pae hai. Jo ki z1 pro ko aur bhi zyada special banadeta hai. Z1 pro mid 2019 me lauch hua tha magar iskeshandar feature set ki vajah se ye 2020 me aa rahe naye phones ko bhi strong competitionde raha hai. Phone me 6.3 inch ki FHD+ IPS LCD screen digai hai jiski resolution 1080×2340 hai jo ki aapko 395 ppi ki pixel density deta hai. Iska screen to body ratio 90.77% hai. Top left corner me phone ka sabse unique featuredia gaya hai, iska 32 MP camera. Camera ka size sirf 4.6 mm ka hai iske chotesize ki vajah se screen par zyada space waste nahi hoti hai. Sath hi Vivo ne super black material use kiahai jiski vajah se screen off hone par camera nazar nahi aata hai aur phone ka design bohothi clean lagta hai. Screen ke upar bohot hi choti space me Vivone incall speaker aur ambient light sensor rakhe hai. Screen ke mamle me Z1 pro dusre phones kemukable thoda kamzor hai. Iski protection ke lie Vivo ne gorilla glasska use nahi kara hai, yani ki aapke screen ke sath sath camera par scratches aane aurdamage hone ka zyada khatra hai. Display ka panel IPS hone ki vajah se phoneke viewing angles bhi thode kamzor hai, sath hi ispar colors bhi kam vibrant nazar aatehai. Phone ki body plastic se bani hai, iske backpar curved 3d design dia gaya hai.
Phone ka back kafi relfective hai aur lightspadne par phone ko bohot hi interesting look deta hai. Z1 pro ka finger print scanner bhi yahi diagaya hai, iska finger print scanner kafi fast aur accurate hai aur dirt ya water hone parbhi sahi se work karta hai. Phone me AI Triple camera setup dia gaya hai,iska main camera 16MP ka hai jiska aperture f/1.8 hai, sath hi phone me 8 MP ka 120 degreeultra wide angle camera hai jiska aperture f/2.2 hai, aur depth sensing ke lie 2MP kacamera dia gaya hai. Camera app me portrait mode dia gaya hai joki2MP camera ki madad se aapko kafi high quality bokeh shots dega. Z1 pro ka indisplay camera kafi impressivehai, vivo ne bohot hi chote size me 32MP ka sensor use kia hai jiska aperture f/2.0 hai,ye camera beauty mode ki madad se aapko hamesha perfect high quality selfies dega. Vivo ka front camera zyadatar lighting conditionsme to bohot achcha perform karta hai magar low lighting me bohot zada weak photos letahai.
Vivo Z1 pro india me snapdragon 712 ke sathlauch hua pehla phone tha, 712 ek 10nm octa core processor hai jiske 2 cores 2.3 Ghz parclocked hai aur 6 cores 1.7 Ghz par clocked hai. Graphics ke lie phone me Adreno 616 ka usekia gaya hai. Sath hi phone me wildvine l1 support bhi hai. Phone me PUBG HDR settings par chalta haiaur lambe samay tak khelne par bhi hume koi lag dekhne ko nahi milta hai aur gameplaysmooth rehta hai. 2019 me Vivo z1 pro PUBG tournament ka official sponsor bhi reh chukahai. Vivo ne aapke gaming experience ko behtarbanane ke lie Ultra gaming mode bhi develop kia hai, ultra gaming mode on karne par phoneapne system resources gaming ke lie optimize kar leta hai, aur aapko behtar framerate aurnetwork connectivity deta hai. Sath hi iss mode me Do not disturb ka supportbhi hai jo ki notifications ko behtar tarha se handle karta hai aur gaming ke doran aapkodistractions se bachata hai. Phone me 5000 mAh ki battery di gai hai joki single charge me aapko 6 ghante se bhi zyada der tak PUBG aur dusre heavy games runkar sakti hai. Phone me 18W fast charging ka support bhihai aur iske sath fast charger box me included aata hai. Phone me OTG cable ki madad se reverse chargingka support bhi hai, jisse aap apni accesories phone ke zarie hi charge kar paenge,
MagarZ1 pro me usb type-c port use nahi kara gaya hai, yani type-c accesories iske sath compatiblenahi rahengi. Phone Vivo ke funtouchOS ke sath aata hai,jisko indisplay camera ke lie specially design kia gaya hai, Z1 pro me FuntouchOS 9.0 haijo ki android 9 pie par based hai. FuntouchOS kafi heavy OS hai aur use karneme kafi confusing lag sakta hai, basic settings change karne ke lie hi aapko kafi kuch karnapadta hai, isme bohot sare useless features hai aur lookske mamle me bh ye kuch khass nahi hai. Iss os ki vajah se phone ko use karne ka experiencebigad jata hai. Ye OS phone ki sabse zyada disappointing cheezhai. Agar aap apne phone me smooth gaming aur bestoverall performance chahte hai to Vivo Z1 pro aapke lie best choice hai. Iska puch hole display phone ko premium lookaur feel deta hai. Magar camera quality ke mamle me phone thodaweak hai aur iska OS bohot sari unnecessary apps ke sath aata hai aur use karne me apkobohot irritating lag sakta hai.
Vivo ki Z series inki pehli online only serieshai, aur Vivo Z1 pro exclusively flipkart par available hai, ye phone 3 color optionsme aata hai, sonic blue, sonic black aur mirror black.Z1 pro originally higher price par releasehua tha magar iske price drops ki vajah se ye abhi bhi bohot hi attractive option hai. Iske 4gb/64gb vale variant ki pricing 12,990hai, 6gb ram 64gb rom vale variant ki pricing 13,990 hai sath hi Z1 pro 6gb ram aur 128gb rom ke option me bhi aata hai jiski pricing 15,990 hai. Online sales aane par ye phone aapko aur sastabhi mil sakta hai, sale ke doran sare variants ki pricing 2000 rs tak off ho jati hai. Iss price par ye phone iss range ka sabseattractive option ban jata hai. Hamari list ka agla phone under 15000 ki pricerange me quad cameras lane vala pehla phone tha. Ye phone behatreen design aur powerfull processorke sath aata hai. Number 2 par hai Realme 5 Pro. Realme 5 Pro realme ki popular series ka sabsenaya addition hai. Iss phone ke sath realme under 15000 ki pricerange me quad camera lane vali pehli company ban gai. Iska quad camera setup phone ka main highlighthai, magar iske sath sath realme ne phone me shandardesign aur powerful processor bhi dia hai jo 5 pro ko bohot hi attractive option banadete hai. Realme 5 Pro ko fast banane ke lie realmene iss range ke sabse achche processor ko use kia hai. Phone me vivo z1 pro ki tarha hi QualcommSnapdragon 712 ka use kia gaya hai. Jiski vajah se dono hi phone performance mekafi similar hai. SD 712 ke sath Qualcomm apne higher end processorske features ko affordable chip me la chuka hai. 712 purane processors ke mukable batteryefficient to hai hi sath hi isme behtar AI performance aur improved connectivity ke liehigher end DSP bhi hai. Phone normal use me bohot hi smooth kam kartahai aur heavy use par bhi koi lag ya slowdown dekhne ko nahi milte hai. Phone me UFS 2.1 storage ka use kia gaya haijo ki faster internal storage hai aur appke games aur apps ko tezi se load karne me madadkaregi. Realme 5 Pro me 6.3 inch ki FHD+ IPS screendi gai hai jiska resolution 1080×2340 hai jo ki aapko 409 ppi ki pixel desity deti hai. Phone aur front camera ki protection ke lieGorllia Glass 3 ka use kia gaya hai. 5 pro ka screen to body ratio 90.6% hai, aurdewdrop display hone ke karan screen use karne me kafi immersive lagti hai.
Ye screen exactly Realme 3 Pro vali screenhai. 3 pro me gorilla glass 5 ka use kia gaya thamagar iss phone me sirf gorilla glass ka purana version 3 hi use kia hai jo ki kam protectiondeta hai. 5 Pro ke sath realme ne finally micro-USBport ko chod kar nae usb type-c port ka use kia hai. Phone me 4035 mAh ki battery di gai hai aurOppo ke 20W VOOC fast charging ka support bhi hai, joki phone ko adhe ghante me 55%tak charge kar sati hai. 20W ka VOOC fast charger phone ke sath box me included aatahai, jiski retail price rs. 1000/- hai. Oppo ki VOOC technology sabse best experiencedeti hai, aur realme ke phones me iska inclusion unhe aur behtar bana deta hai. Phone ki battery ka size thoda chota hai aurye hamari list ke dusre phones ke mukable kam chalti hai, magar vooc fast charging honeke karan ye zyada badi problem nahi hai.
Phone ka design Realme 3 Pro se kafi miltajulta hai. Iska back reflective hai aur nae diamond cutgradient design ke sath aata ahi, jo ki hum realme c2 me pehle bhi dekh chuke hai. Magar iss bar iss design ke sath quad camerasetup dia gaya hai. Realme 5 pro ke main camere ke lie 48MP kasony sensor dia gaya hai jiska aperture f/1.8 hai, phone ka ultra wide camera 8MP ka haiaur 199 degree ka viewing angle deta hai, iska 3rd camera 2MP ka portrait camera haijiska aperture f/2.4 hai. Finally phone ka last camera ultra macro photoslene ke lie hai, iska sensor 2MP ka hai. Phone ke quad camera setup ki vajah se ismekafi noticeable camera bump hai, realme 5 pro ko flat surface par rakhne par ye flatnahi rehta, aur iske cameras par scratches aane ka khatra badh jata hai. Iss vajah se phone ko kafi carefully handlekarna padta hai.
Phone ke back par dia gaya fingerprint sensorbohot hi fast aur accurate hai, sath hi iska face unlock bhi bohot reliable hai. 5 Pro ke front camera me 16MP ka sony sensoruse kia gaya hai jiska aperture f/2.0 hai. Camera app me beauty ke sath sath kai featuresdie gae hai jo ki aapki selfies ko aur behtar banane me madad karte hai. Buri lighting conditions me bhi ye decentshots le leta hai. Realme ke sare cameras ki quality kafi achchihai, phone me 940 fps super slow motion video ka support bhi hai aur phone me realme kechroma boost aur super nighscape modes bhi die gae hai, magar colorOS ki camera app kafibasic si hai aur zyada achcha perform nahi karti hai islie iske sath photos lene ka experiencesmooth nahi hai. Realme apna naya OS nikal chuke hai jiskounhone Realme UI ka name dia hai, abhi ye OS sirf kuch phones par hi release hua hai. Realme UI android 10 par based hai aur kainae features ke sath aati hai,
realme ne confirm kara hai ki realme 5 pro ke lie realme uijald hi launch hoga. Phone me dual sim ke sath dedicated SD cardslot bhi dia gaya hai, islie agar aap low internal memory vala variant bhi lete haito uski memory sd card se easily expand kari jaa sakti hai. Gaming ki baat kare to phone me games ko enhancekarne ke lie gamespace app di gai hai, iss app me aapko phone me installed sare gamesmil jaenge aur aap yaha se notification settings aur game boost settings ko on/off kar saktehai. Phone me PUBG kafi smooth chalta hai. Iski graphic settings HD tak jati hai aurframe rate high tak jata hai. Gameplaay me hume koi slowdown ya lag dekhneko nahi mila hai aur framerate bohot hi stable rehta hai, PUBG ke alava dusre games ke sath bhi realme5 pro achcha perform karta hai. Phone me Game space app bhi di gai hai jahase aap apne sare games launch kar sakte hai sath hi game boost aur DND modes ko bhi onkar sakte hai. Realme 5 Pro flipkart.com par available haiaur sath hi aap isse apne local phone store se bhi khareed sakte hai. Phone ke 4gb/64gb variant ki pricing 11999hai or 6gb 64gb wale variant ki price 13999, iske alava iska high end variant bhi availablehai joki 8gb ram or 128 gb rom ke sath aata hai jiski price 15999 hai. Realme ne iss saal apne pure lineup me quadcameradekar hume kafi impress kar dia hai, iss phone ke sath realme ne apni market position aurzyada strong kar di hai. To dosto jiska aap sabhi ko intezar tha abbaari aa gai hai hamare best phone of march 2020 ki.Iss phone ne launch hote hi under15000 ki range me tehelka macha dia tha. Ye latest technology aur highest end featuresko budget range me le aaya hai. Top phone of March 2020 Under 15000 haiRedmi Note 8 Pro.
Redmi note 8 pro xiaomi ki redmi series kasabse latest version hai. Iss phone ke sath xiaomi highest end phoneski performance budget range me le aai hai. Redmi Note 8 Pro ek nae look ke sath aatahai, iss phone ke sath xiaomi ne apne aura design par kafi improvement kia hai. Phone par reflective multicolored glass kause kia gaya hai sath hi iska frame bhi colors ke sath behtarmatch karne ke lie specially banaya gaya hai. Phone me dual curved gorllia glass 5 ka usekia gaya hai phone ko ultimate protection dene ke lie. Ye phone ek nae aur unique look ke sath aatahai.joki bohot hi unique to hai hi sath hi phone ko aur zyada durable bhi banata hai. Phone me 6.53 inch ki IPS LCD screen di gaihai jiska resolution 1080×2340 hai aur iski pixel density 395 ppi hai. Ye display kafi vibrant hai aur isme HDR10ka suppor bhi hai. Screne kafi bright ho jati hai aur daylightme bhi usable rehti hai aur iske viewing angles bhi decent hai. Screen ke upar dekhe to dot notch me phoneka front camera dia gaya hai aur yaha par call speaker bhi hai.
Phone ka front camera 20MP ka hai jiska aperturef/2.0 hai. Ye camera kafi decent shots leta hai aur photosko behtar banane ke lie isme kai modes die gae hai. Front camera me AI scene detection aur panoramaselfies ka support hai aur iska face unlock bhi kafi fast aur accurate hai. Note 8 Pro pehla redmi phone hai jo ki quadcamera setup ke sath aata hai. Phone ka main camera 64MP ka hai jiska aperturef/1.9 hai, ye camera samsung ka naya sensor use karta hai. Iska sencond camera 8MP ka ultra wide camerahai jiska aperture f/2.2 hai, sath hi phone me 2MP ka macro lens camera bhi hai jiskafocus distance 2 cm ka hai, iska aperture f/2.4 hai aur ye super close macro shots letahai. Akhir me phone me 2MP ka Depth sensing camerahai. Xiaomi ne camera ko enhance karne ke lie indiame special Camera imaging team banai hai jo ki cameras ko indian envoirnments aur skincolors ko aur behtar tarha se capture karne ke lie tune karti hai. Phone ka main 64MP camera super pixel technologyuse karta hai jo ki low light me aapko aur behtar images dega. Sath hi phone me improved night mode aur beautymode aur behtar edge detection vala portrait mode dia gaya hai. Redmi note 8 Pro iss price segment ke sarephones me sabse high quality photos leta hai, iska quad camera setup aapko har situationme high quality photos lene me madad karta hai.
Iska finger print sensor camera ke just neechedia gaya hai aur camera bump ka hissa hai, iski speed aur accuracy kafi achchi hai, magarsensor ka placement hume thoda problematic laga, phone unlock karte samay kai bar figerscamera ke lens par chali jati hai jisse lens par dirt aur finger prints aa jate hai. Redmi 8 Pro mediatek ke Helio G90T processorke sath aata hai jo ki mediatek ke nai range me pehla processor hai. G90T octa-core processor hai jiske 2 cores2.05 Ghz par clocked hai aur 6 cores 2.0 Ghz par clocked hai. Iske sath Mali g76 MC GPU ka use kia gayahai. G90T me G gaming ko represent karta hai aurye processor specially gaming ko mind me rakh kar banaya gaya hai. Isme mediatek ki special hyperengine gametechnology ka use kia gaya hai, ye technology aapke gaming experience ko improve karne kelie games ko behtar networking aur gpu resources deti hai. Benchmarks me ye processor Qualcomm ke Snapdragon730G se bhi behtar perform kar raha hai. G90T kai nae features ke sath aata hai.
Processor me wifiX ka support hai aur ye eksath do wifi se connect kar sakta hai aur seamlessly stronger wifi pe switch kar saktahai, sath hi ye sim network par calling aur data sath me handle kar sakta hai, jiski vajahse online games me calls aane par bhi aapka connection interupt nahi hota hai. Phone bohot hi smooth work karta hai aur ispehigh end games bhi stable framerate aur high graphic settings ke sath achche se run kartehai. PUGB ki settings HDR tak jati hai aur framerate ultra tak jata hai. Yani aapko game me koi compromise nahi karnapadta hai. Magar dosto phone me sirf wildvine l3 takka hi support hai yani ki Note 8 Pro Amazon Prime aur Netflix par HD content stream naikar sakta hai. Xiaomi ne promise kia hai ki vo software updateke zarie wildvine l1 support jald hi provide karenge jo ki march me android 10 ke updateke sath aaega. Note 8 Pro 4500 mAh ki battery ke sath aatahai, phone me fast charging support bhi hai,
aur phone ke sath 18W ka fast charger boxme hi aata hai, jiska inclusion hume bohot achcha laga. Phone ki battery kafi chalti hai aur heavyuse me bhi easily full day last kar sakti hai. Heavy gaming aur multitasking ke doran bhihume battery me zyada drop dekhne ko nahi mila. Redmi note 8 Pro built in alexa ke saath aatahai, aur mediatek ka helio g90t dunia ke pehle processors me se ek hai jo dual call wordssupport karta hai, islie aap alexa aur google assistant sath me use kar paenge. Redmi Note 8 Pro MIUI 10 ke sath aata haijo ki android 9 pie par based hai. Phone ke lie MIUI ke nae version 11 ka updatebhi aa chuka hai, MIUI 11 bhi android 9 par hi based hai magarkai nae features aur enhancements ke sath aata hai.
Phone ki build quality bohot hi achchi haiaur ye use karne me bohot hi premium feel hota hai. Phone ke side par iske volume buttons aurpower button die gae hai, aur top side par dekhe to aapko IR blaster dekhne ko miljaega,phone ke bottom par iska speaker, headphone jack aur Usb type-c port dia gaya hai. Phone me dual sim ka support hai aur ismededicated SD card slot bhi hai, joki note series me hume pehli baar dekhne ko mila hai,aur sirf phone ke indian variant me hi dia gaya hai. Phone 4 color options ke sath aata hai. Phone ka sabse naya color gamma green haijo ki green frame ke sath aata hai. Halo white jisme sunset colors aur rainboweffect aata hai. Shadow black jo ki plain reflective blackcolor hai. Aur finally Electric blue jo green and bluegradient ke sath aata hai. Redmi note 8 pro ka 6gb ram 64gb rom valavariant 13,999 ki price par aata hai, iska 6gb ram 128gb rom vale variant ki price 15,999hai, aur 8gb 128gb vale variant ki pricing 17,999 hai. Phone amazon.in aur mi.com par online availablehai sath hi ye aapko offline mi home aur mi preffered partner ke stores par bhi mil jaega. Sale ke time par in sab variants par 1000rs tak ka discount mil sakta hai. Redmi note 8 pro 4GB RAM variant ke sath nahiaata hia aur ye hume redmi ki nayi technology aur improvement ki taraf commitment dikahtaha hai.
Phone ke cheapest variant me bhi 6GB ram dekarredmi ne pakka kara hai ki aapko hamesha compromise free experience mile. To dosto ye the hamare best 5 phone of March2020, agar aap inme se koi bhi phone khareedna chahte hai to aapko uski link hamare descriptionme mil jaegi. Aap ke lie under 15000 range me best phonekonsa hai hume comment karke zaroor batae. Agar aapke pass koi suggestions ya video requestsho to vo bhi hamare sath comments me share zaroor kare. Agar video pasand aai ho to like karna nabhule, latest phones ke reviews, tests aur best phones ki list ke lie hume subscribezaroor kare, aur bell icon par click karna na bhule. Aaj ke lie bass itna hi dosto, Thanks forwatching.
1 thought on “Best Phone Under 15000 of 2020 : Top 5 Budget Smartphones”